main pehle dil ke liye hausla banata hoon | मैं पहले दिल के लिए हौसला बनाता हूँ

  - Yashab Tamanna

main pehle dil ke liye hausla banata hoon
phir us ke ba'ad koi aasraa banata hoon

main be-muraad nazar aa raha hoon logon ko
main doosron ke liye raasta banata hoon

main maanta bhi nahin koi kaarsaaz bhi hai
magar zameen pe bahut se khuda banata hoon

agar hijaab na hota to sab se kah deta
main kaise hijr ko lazzat-faza banata hoon

zamaane bhar ke andheron se jang hoti hai
main raushni ke liye jab diya banata hoon

ye shehr-e-ishq mere vaaste naya hai miyaan
ab aaya hoon to koi silsila banata hoon

मैं पहले दिल के लिए हौसला बनाता हूँ
फिर उस के बा'द कोई आसरा बनाता हूँ

मैं बे-मुराद नज़र आ रहा हूँ लोगों को
मैं दूसरों के लिए रास्ता बनाता हूँ

मैं मानता भी नहीं कोई कारसाज़ भी है
मगर ज़मीं पे बहुत से ख़ुदा बनाता हूँ

अगर हिजाब न होता तो सब से कह देता
मैं कैसे हिज्र को लज़्ज़त-फ़ज़ा बनाता हूँ

ज़माने भर के अँधेरों से जंग होती है
मैं रौशनी के लिए जब दिया बनाता हूँ

ये शहर-ए-इश्क़ मिरे वास्ते नया है मियाँ
अब आया हूँ तो कोई सिलसिला बनाता हूँ

  - Yashab Tamanna

Inquilab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yashab Tamanna

As you were reading Shayari by Yashab Tamanna

Similar Writers

our suggestion based on Yashab Tamanna

Similar Moods

As you were reading Inquilab Shayari Shayari