rota hua vo baam mujhe yaad hai abhi
dil mein bikhrti shaam mujhe yaad hai abhi
phir kaise ho gaya hai wahi shakhs itna khaas
samjhe the jis ko aam mujhe yaad hai abhi
ham aur saath saath kabhi is tarah milen
jaise khayaal-e-khaam mujhe yaad hai abhi
vo guftugoo nigaahon nigaahon mein yaad hai
sargoshi mein salaam mujhe yaad hai abhi
kaise sambhal sambhal ke bada dekh-bhaal kar
ham tum the ham-kalaam mujhe yaad hai abhi
kya din the khwahishon ki badi rail-pel thi
jazbon ka izidahaam mujhe yaad hai abhi
poocha ki mere dil mein iqaamat hai kab talak
us ne kaha mudaam mujhe yaad hai abhi
poocha ki zindagi mein mera hum-safar hai kaun
main ne kaha ghulaam mujhe yaad hai abhi
ab tak vo zaa'ika bhi mujhe yaad hai yashb
ham ne piya tha jaam mujhe yaad hai abhi
रोता हुआ वो बाम मुझे याद है अभी
दिल में बिखरती शाम मुझे याद है अभी
फिर कैसे हो गया है वही शख़्स इतना ख़ास
समझे थे जिस को आम मुझे याद है अभी
हम और साथ साथ कभी इस तरह मिलें
जैसे ख़याल-ए-ख़ाम मुझे याद है अभी
वो गुफ़्तुगू निगाहों निगाहों में याद है
सरगोशी में सलाम मुझे याद है अभी
कैसे सँभल सँभल के बड़ा देख-भाल कर
हम तुम थे हम-कलाम मुझे याद है अभी
क्या दिन थे ख़्वाहिशों की बड़ी रेल-पेल थी
जज़्बों का इज़िदहाम मुझे याद है अभी
पूछा कि मेरे दिल में इक़ामत है कब तलक
उस ने कहा मुदाम मुझे याद है अभी
पूछा कि ज़िंदगी में मिरा हम-सफ़र है कौन
मैं ने कहा ग़ुलाम मुझे याद है अभी
अब तक वो ज़ाइक़ा भी मुझे याद है 'यशब'
हम ने पिया था जाम मुझे याद है अभी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yashab Tamanna
our suggestion based on Yashab Tamanna
As you were reading Zindagi Shayari Shayari