asraar kaise khol doon us aab-o-gil ke main | असरार कैसे खोल दूँ उस आब-ओ-गिल के मैं - Yashab Tamanna

asraar kaise khol doon us aab-o-gil ke main
mahka hua hoon raat ki raani se mil ke main

kya jaaniye ki kaise pata chal gaya use
kehta nahin kisi se bhi ahvaal dil ke main

khaak-e-shifa kahi ki bhi aayi nahin hai raas
ab aasmaan par kahi dekhoonga khil ke main

ab bhi wahi hai pyaas ki shiddat wahi hoon main
paani to pehle bhi nahin peeta tha hil ke main

chehre se lag raha tha ki pazmurdagi si hai
nakhre utha raha hoon dil-e-muzmahil ke main

damri nahin hai jeb mein lekin ye dil to hai
koi bhi daam doonga yashb us ke til ke main

असरार कैसे खोल दूँ उस आब-ओ-गिल के मैं
महका हुआ हूँ रात की रानी से मिल के मैं

क्या जानिए कि कैसे पता चल गया उसे
कहता नहीं किसी से भी अहवाल दिल के मैं

ख़ाक-ए-शिफ़ा कहीं की भी आई नहीं है रास
अब आसमान पर कहीं देखूँगा खिल के मैं

अब भी वही है प्यास की शिद्दत वही हूँ मैं
पानी तो पहले भी नहीं पीता था हिल के मैं

चेहरे से लग रहा था कि पज़मुर्दगी सी है
नख़रे उठा रहा हूँ दिल-ए-मुज़्महिल के मैं

दमड़ी नहीं है जेब में लेकिन ये दिल तो है
कोई भी दाम दूँगा 'यशब' उस के तिल के मैं

- Yashab Tamanna
0 Likes

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yashab Tamanna

As you were reading Shayari by Yashab Tamanna

Similar Writers

our suggestion based on Yashab Tamanna

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari