vo jo ek chehra damak raha hai jamaal se
use mil rahi hai khushi kisi ke khayal se
main ne sirf ek hi daayere mein safar kiya
kabhi be-niyaaz bhi kar mujhe mah-o-saal se
kabhi hans ke khud hi gale se us ko laga liya
kabhi ro diye hain lipt ke khud hi malaal se
tujhe kya khabar ki vo kaun hai sar-e-rahguzar
kabhi sarsari na guzar kisi ke sawaal se
vo jo muskuraa ke guzar raha hai qareeb se
use aashnaai zaroor hai mere haal se
mujhe aasraa bhi nahin kisi ki duaon ka
mujhe khauf aata hai yun bhi waqt-e-zawaal se
yashb apne aap se mil ke kitna bhala laga
mujhe fursatein hi nahin miliin kai saal se
वो जो एक चेहरा दमक रहा है जमाल से
उसे मिल रही है ख़ुशी किसी के ख़याल से
मैं ने सिर्फ़ एक ही दाएरे में सफ़र किया
कभी बे-नियाज़ भी कर मुझे मह-ओ-साल से
कभी हँस के ख़ुद ही गले से उस को लगा लिया
कभी रो दिए हैं लिपट के ख़ुद ही मलाल से
तुझे क्या ख़बर कि वो कौन है सर-ए-रहगुज़र
कभी सरसरी न गुज़र किसी के सवाल से
वो जो मुस्कुरा के गुज़र रहा है क़रीब से
उसे आश्नाई ज़रूर है मेरे हाल से
मुझे आसरा भी नहीं किसी की दुआओं का
मुझे ख़ौफ़ आता है यूँ भी वक़्त-ए-ज़वाल से
'यशब' अपने आप से मिल के कितना भला लगा
मुझे फ़ुर्सतें ही नहीं मिलीं कई साल से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yashab Tamanna
our suggestion based on Yashab Tamanna
As you were reading Yaad Shayari Shayari