kamaal-e-shauq-e-safar bhi udhar hi jaata hai | कमाल-ए-शौक़-ए-सफ़र भी उधर ही जाता है

  - Yashab Tamanna

kamaal-e-shauq-e-safar bhi udhar hi jaata hai
kisi safar ka musaafir ho ghar hi jaata hai

vo aadmi hi to hota hai gham ki shiddat se
hazaar koshishein kar le bikhar hi jaata hai

vo hijr ho ki tire vasl ka koi lamha
vo mustaqil nahin hota guzar hi jaata hai

jo is se pehle bhi sheeshe mein baal aaya ho
to dil kisi nayi ulfat se dar hi jaata hai

chadha hua koi dariya ho ya ki nashsha ho
yashb kabhi na kabhi to utar hi jaata hai

कमाल-ए-शौक़-ए-सफ़र भी उधर ही जाता है
किसी सफ़र का मुसाफ़िर हो घर ही जाता है

वो आदमी ही तो होता है ग़म की शिद्दत से
हज़ार कोशिशें कर ले बिखर ही जाता है

वो हिज्र हो कि तिरे वस्ल का कोई लम्हा
वो मुस्तक़िल नहीं होता गुज़र ही जाता है

जो इस से पहले भी शीशे में बाल आया हो
तो दिल किसी नई उल्फ़त से डर ही जाता है

चढ़ा हुआ कोई दरिया हो या कि नश्शा हो
'यशब' कभी न कभी तो उतर ही जाता है

  - Yashab Tamanna

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yashab Tamanna

As you were reading Shayari by Yashab Tamanna

Similar Writers

our suggestion based on Yashab Tamanna

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari