meri cheekh'on se kamra bhar gaya tha | मिरी चीख़ों से कमरा भर गया था

  - Yasir Khan

meri cheekh'on se kamra bhar gaya tha
koi kal raat mujh mein mar gaya tha

bahut mushkil hai us ka laut aana
vo poori baat kab sun kar gaya tha

mujhe pahchaanta bhi hai koi ab
main bas ye dekhne hi ghar gaya tha

zamaana jis ko dariya kah raha hai
hamaari aankh se bah kar gaya tha

kai sadiyon se sookha pad raha hai
yahan ik shakhs pyaasa mar gaya tha

hamaara bojh tha sar par hamaare
tumhaare saath to naukar gaya tha

ye mat samjha khata kis se hui thi
bata ilzaam kis ke sar gaya tha

मिरी चीख़ों से कमरा भर गया था
कोई कल रात मुझ में मर गया था

बहुत मुश्किल है उस का लौट आना
वो पूरी बात कब सुन कर गया था

मुझे पहचानता भी है कोई अब
मैं बस ये देखने ही घर गया था

ज़माना जिस को दरिया कह रहा है
हमारी आँख से बह कर गया था

कई सदियों से सूखा पड़ रहा है
यहाँ इक शख़्स प्यासा मर गया था

हमारा बोझ था सर पर हमारे
तुम्हारे साथ तो नौकर गया था

ये मत समझा ख़ता किस से हुई थी
बता इल्ज़ाम किस के सर गया था

  - Yasir Khan

Dariya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yasir Khan

As you were reading Shayari by Yasir Khan

Similar Writers

our suggestion based on Yasir Khan

Similar Moods

As you were reading Dariya Shayari Shayari