mujhe vo gham hai ki saari zameen rone lage
jo ashk ponch doon to aasteen rone lage
tumhein pata hai main aisi jagah bhi hans aaya
jahaan pe zabt ke sab maahireen rone lage
madari jaanta tha aakhiri tamasha hai
so khel aisa kiya naazireen rone lage
tire labon pe udaasi thi ek lamhe ko
tiri hasi ke sabhi shaayekeen rone lage
kuchh aise qaid kiya hai gharo mein qudrat ne
makaan hansne lage aur makin rone lage
मुझे वो ग़म है कि सारी ज़मीन रोने लगे
जो अश्क पोंछ दूँ तो आस्तीन रोने लगे
तुम्हें पता है मैं ऐसी जगह भी हँस आया
जहाँ पे ज़ब्त के सब माहिरीन रोने लगे
मदारी जानता था आख़िरी तमाशा है
सो खेल ऐसा किया नाज़िरीन रोने लगे
तिरे लबों पे उदासी थी एक लम्हे को
तिरी हँसी के सभी शाएक़ीन रोने लगे
कुछ ऐसे क़ैद किया है घरों में क़ुदरत ने
मकान हँसने लगे और मकीन रोने लगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yasir Khan
our suggestion based on Yasir Khan
As you were reading Sad Shayari Shayari