bade saleeqe se ab ham ko jhooth bolna hai
mare na koi faqat itna zahar gholnaa hai
rakhi hui hai tiri yaad dil ke palde mein
ab is taraazu mein ik ishq aur tolnaa hai
main is liye bhi zamaane mein sab ko pyaara hoon
mujhe pata hai kahaan kitna jhooth bolna hai
hamaare desh mein insaaf ki jo devi hai
ab aasthaa se use zindagi ko tolnaa hai
hawa liye hue phirti hai qainchiyaan yaasir
bade hisaab se apne paron ko kholna hai
बड़े सलीक़े से अब हम को झूट बोलना है
मरे न कोई फ़क़त इतना ज़हर घोलना है
रखी हुई है तिरी याद दिल के पलड़े में
अब इस तराज़ू में इक इश्क़ और तोलना है
मैं इस लिए भी ज़माने में सब को प्यारा हूँ
मुझे पता है कहाँ कितना झूट बोलना है
हमारे देश में इंसाफ़ की जो देवी है
अब आस्था से उसे ज़िंदगी को तोलना है
हवा लिए हुए फिरती है क़ैंचियाँ 'यासिर'
बड़े हिसाब से अपने परों को खोलना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yasir Khan
our suggestion based on Yasir Khan
As you were reading I Miss you Shayari Shayari