ye mausam hai umangon ka tarangon ka zamaana hai
chaman ke phool hain ham kaam apna muskurana hai
qadam jo bhi uthaana hai tarqqi ka uthaana hai
sitaaron ki tarah ik din falak par jagmagana hai
gale mein daal kar baanhe khushi ke geet gaana hai
hamein school jaana hai hamein school jaana hai
mile aadhi agar roti to ham utni hi khaayenge
museebat jo pade sar par khushi se jhel jaayenge
jo padhna seekh jaayenge to auron ko padhaayenge
jo raaste mein bhatkte hain unhen manzil dikhaayenge
mohabbat ka diya har mod par ham ko jalana hai
hamein school jaana hai hamein school jaana hai
nahin hai ilm se badh kar jahaan mein koi bhi daulat
yahi hai noor aankhon ka dilon ki hai yahi raahat
ye vo shay hai laga saka nahin jis ki koi qeemat
baghair is ke na mil paayegi duniya mein koi izzat
utho jaldi agar ta'leem ka dariya bahaana hai
hamein school jaana hai hamein school jaana hai
jahaalat ka andhera aql se ma'zoor karta hai
jo dil ki aankh hai us ko yahi be-noor karta hai
bana deta hai ye shaitan khuda se door karta hai
hamein dar dar bhatkne ke liye majboor karta hai
jise ta'leem kahte hain ki vo hikmat ka khazana hai
hamein school jaana hai hamein school jaana hai
ये मौसम है उमंगों का तरंगों का ज़माना है
चमन के फूल हैं हम काम अपना मुस्कुराना है
क़दम जो भी उठाना है तरक़्क़ी का उठाना है
सितारों की तरह इक दिन फ़लक पर जगमगाना है
गले में डाल कर बाँहें ख़ुशी के गीत गाना है
हमें स्कूल जाना है हमें स्कूल जाना है
मिले आधी अगर रोटी तो हम उतनी ही खाएँगे
मुसीबत जो पड़े सर पर ख़ुशी से झेल जाएँगे
जो पढ़ना सीख जाएँगे तो औरों को पढ़ाएँगे
जो रस्ते में भटकते हैं उन्हें मंज़िल दिखाएँगे
मोहब्बत का दिया हर मोड़ पर हम को जलाना है
हमें स्कूल जाना है हमें स्कूल जाना है
नहीं है इल्म से बढ़ कर जहाँ में कोई भी दौलत
यही है नूर आँखों का दिलों की है यही राहत
ये वो शय है लगा सकता नहीं जिस की कोई क़ीमत
बग़ैर इस के न मिल पाएगी दुनिया में कोई इज़्ज़त
उठो जल्दी अगर ता'लीम का दरिया बहाना है
हमें स्कूल जाना है हमें स्कूल जाना है
जहालत का अंधेरा अक़्ल से मा'ज़ूर करता है
जो दिल की आँख है उस को यही बे-नूर करता है
बना देता है ये शैताँ ख़ुदा से दूर करता है
हमें दर दर भटकने के लिए मजबूर करता है
जिसे ता'लीम कहते हैं कि वो हिकमत का ख़ज़ाना है
हमें स्कूल जाना है हमें स्कूल जाना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Zafar Kamali
our suggestion based on Zafar Kamali
As you were reading Khushi Shayari Shayari