mujhe kya khabar thi | मुझे क्या ख़बर थी

  - Zafar Zaidi

mujhe kya khabar thi
ki tum meri ungli pakad kar chalogi
shab ki tareek sarhad se
baahar nikalte hi
din ke ujaale mein
pehla qadam rakhte hi
muskuraa kar kahogi
dekhiye shukriya
ab yahan se main
suraj ki kirnon ke hamraah
khud hi chali jaoongi
aur main
mud ke dekhoonga un raaston ko
jo yun shab-zada ho chuke hon
ki apna pata kho chuke hon

मुझे क्या ख़बर थी
कि तुम मेरी उँगली पकड़ कर चलोगी
शब की तारीक सरहद से
बाहर निकलते ही
दिन के उजाले में
पहला क़दम रखते ही
मुस्कुरा कर कहोगी
देखिए शुक्रिया
अब यहाँ से मैं
सूरज की किरनों के हमराह
ख़ुद ही चली जाऊँगी
और मैं
मुड़ के देखूँगा उन रास्तों को
जो यूँ शब-ज़दा हो चुके हों
कि अपना पता खो चुके हों

  - Zafar Zaidi

Subah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zafar Zaidi

As you were reading Shayari by Zafar Zaidi

Similar Writers

our suggestion based on Zafar Zaidi

Similar Moods

As you were reading Subah Shayari Shayari