kis tarah hoga fakeeron ka guzaara soche | किस तरह होगा फ़कीरों का गुज़ारा सोचे

  - Zahid Bashir

kis tarah hoga fakeeron ka guzaara soche
usse kehna ki vo ik baar dobaara soche

kaise mumkin hai use aur koi kaam na ho
kaise mumkin hai ki vo sirf hamaara soche

tere aflaak pe jaaye to sitaara chamke
mere aflaak pe aaye to sitaara soche

toote patwaar ki kashti ka muqaddar kya hai
ye to dariya hi bataaye ya kinaara soche

aisa mauka ho ki bas ek hi bach saka ho
aur us waqt bhi ek shakhs tumhaara soche

किस तरह होगा फ़कीरों का गुज़ारा सोचे
उससे कहना कि वो इक बार दुबारा सोचे

कैसे मुमकिन है उसे और कोई काम न हो
कैसे मुमकिन है कि वो सिर्फ हमारा सोचे

तेरे अफ़लाक पे जाए तो सितारा चमके
मेरे अफ़लाक पे आये तो सितारा सोचे

टूटे पतवार की कश्ती का मुक़द्दर क्या है
ये तो दरिया ही बताए या किनारा सोचे

ऐसा मौका हो कि बस एक ही बच सकता हो
और उस वक़्त भी एक शख़्स तुम्हारा सोचे

  - Zahid Bashir

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zahid Bashir

As you were reading Shayari by Zahid Bashir

Similar Writers

our suggestion based on Zahid Bashir

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari