haqeeqaton ko fasana nahin banaati main | हक़ीक़तों को फ़साना नहीं बनाती मैं

  - Zahraa Qarar

haqeeqaton ko fasana nahin banaati main
tumhaare khwaab se khud ko nahin jagati main

vo faakhta ki alaamat agar samajh jaata
to us ke saamne talwaar kyun uthaati main

janab waqai main ne kahi nahin jaana
vagarna aap ki gaadi mein baith jaati main

phir ek-dam mere pairo'n mein gir gaye kuchh log
qareeb tha ki koi faisla sunaati main

khuda ka shukr ki vo raaste se laut gaya
agar vo aata to us ko kahaan bithaati main

kisi khayal mein haathon se chhoot jaate hain
ye jaan-boojh ke bartan nahin giraati main

vo dil ho ya meri gudiya ki maut ho jo ho
hamesha sog mein choolha nahin jalaati main

main maanti hoon mera faisla galat nikla
tumheen batao ki pehle kise bachaati main

mera badan kisi titli se kam nahin zahra
to mar na jaati agar tere haath aati main

हक़ीक़तों को फ़साना नहीं बनाती मैं
तुम्हारे ख़्वाब से ख़ुद को नहीं जगाती मैं

वो फ़ाख़्ता की अलामत अगर समझ जाता
तो उस के सामने तलवार क्यूँ उठाती मैं

जनाब वाक़ई मैं ने कहीं नहीं जाना
वगर्ना आप की गाड़ी में बैठ जाती मैं

फिर एक-दम मिरे पैरों में गिर गए कुछ लोग
क़रीब था कि कोई फ़ैसला सुनाती मैं

ख़ुदा का शुक्र कि वो रास्ते से लौट गया
अगर वो आता तो उस को कहाँ बिठाती मैं

किसी ख़याल में हाथों से छूट जाते हैं
ये जान-बूझ के बर्तन नहीं गिराती मैं

वो दिल हो या मिरी गुड़िया की मौत हो जो हो
हमेशा सोग में चूल्हा नहीं जलाती मैं

मैं मानती हूँ मिरा फ़ैसला ग़लत निकला
तुम्हीं बताओ कि पहले किसे बचाती मैं

मिरा बदन किसी तितली से कम नहीं 'ज़हरा'
तो मर न जाती अगर तेरे हाथ आती मैं

  - Zahraa Qarar

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zahraa Qarar

As you were reading Shayari by Zahraa Qarar

Similar Writers

our suggestion based on Zahraa Qarar

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari