ek vyaapaari sahi sapnon ka saudaagar nahin hoon
yaad rakhna main kisi ki raah ka patthar nahin hoon
aaj mere saath chalne ko sabhi taiyaar hain par
bheed ye kursi se hai main aap taqatwar nahin hoon
ab guzishta daur ki yaadein sataati bhi bahut hain
khoob paise hain magar ik dukh ki main ghar par nahin hoon
jhooth ne har jang jeeti khaamoshi se saath chalkar
aur sach kehta raha sab se ki main ghar ghar nahin hoon
jaanta tha main ki rona aur hansna zindagi hai
kya zamaana tha ki sab kahte the main banjar nahin hoon
एक व्यापारी सही सपनों का सौदागर नहीं हूँ
याद रखना मैं किसी की राह का पत्थर नहीं हूँ
आज मेरे साथ चलने को सभी तैयार हैं पर
भीड़ ये कुर्सी से है मैं आप ताक़तवर नहीं हूँ
अब गुज़िश्ता दौर की यादें सताती भी बहुत हैं
ख़ूब पैसे हैं मगर इक दुख कि मैं घर पर नहीं हूँ
झूठ ने हर जंग जीती ख़ामुशी से साथ चलकर
और सच कहता रहा सब से कि मैं घर घर नहीं हूँ
जानता था मैं कि रोना और हँसना ज़िंदगी है
क्या ज़माना था कि सब कहते थे मैं बंजर नहीं हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tarun Pandey
our suggestion based on Tarun Pandey
As you were reading Sach Shayari Shayari