na chalti hai na rukti hai faqeera | न चलती है न रुकती है फ़क़ीरा - Zia Mazkoor

na chalti hai na rukti hai faqeera
tiri duniya bhi achhi hai faqeera

tumhein hatna padega raaste se
ye shahon ki sawaari hai faqeera

hamaare naatwan kandhon pe mat rakh
tasavvuf bhari gathri hai faqeera

tiri gaddi ko lekar itne jhagde
abhi to pehli peedhi hai faqeera

faqat ye soch kar khaamosh hoon main
tumhaari rozi-roti hai faqeera

hum uske aastaan tak kaise pahunchen
badi lambi kahaani hai faqeera

hamaare maanne waalon mein ho ja
hamaara faiz jaari hai faqeera

न चलती है न रुकती है फ़क़ीरा
तिरी दुनिया भी अच्छी है फ़क़ीरा

तुम्हें हटना पड़ेगा रास्ते से
ये शाहों की सवारी है फ़क़ीरा

हमारे नातवां कन्धों पे मत रख
तसव्वुफ़ भारी गठरी है फ़क़ीरा

तिरी गद्दी को लेकर इतने झगड़े
अभी तो पहली पीढ़ी है फ़क़ीरा

फ़क़त ये सोच कर ख़ामोश हूँ मैं
तुम्हारी रोज़ी-रोटी है फ़क़ीरा

हम उसके आस्तां तक कैसे पहुँचे
बड़ी लम्बी कहानी है फ़क़ीरा

हमारे मानने वालों में हो जा
हमारा फ़ैज़ जारी है फ़क़ीरा

- Zia Mazkoor
1 Like

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zia Mazkoor

As you were reading Shayari by Zia Mazkoor

Similar Writers

our suggestion based on Zia Mazkoor

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari