aa gai hai diwali par khushi nahin hogi
haan diye jalenge jab raushni nahin hogi
dard ghar badlne ka aur dar badlne ka
hoga gham bhi kam jab tak dosti nahin hogi
phone subah karti thi bhejti thi photo bhi
photo ab nahin aate kheenchti nahin hogi
phone jo dilaayaa tha haan kharaab ho shaayad
aisa ho nahin saka kaatti nahin hogi
aise dekh hi mat tu meri maa bhi zinda hai
pankhe gussa ho ja par khudkushi nahin hogi
mere dost kahte hain kuchh naya suna saurabh
gham hai hi nahin to ab shaayri nahin hogi
आ गई है दीवाली पर ख़ुशी नहीं होगी
हाँ दिये जलेंगे जब रौशनी नहीं होगी
दर्द घर बदलने का और दर बदलने का
होगा ग़म भी कम जब तक दोस्ती नहीं होगी
फ़ोन सुबह करती थी भेजती थी फ़ोटो भी
फ़ोटो अब नहीं आते खींचती नहीं होगी
फ़ोन जो दिलाया था हाँ ख़राब हो शायद
ऐसा हो नहीं सकता काटती नहीं होगी
ऐसे देख ही मत तू मेरी माँ भी ज़िंदा है
पंखे ग़ुस्सा हो जा पर ख़ुदकुशी नहीं होगी
मेरे दोस्त कहते हैं कुछ नया सुना 'सौरभ'
ग़म है ही नहीं तो अब शाइरी नहीं होगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by 100rav
our suggestion based on 100rav
As you were reading Ujaala Shayari Shayari