jahaan mein sabka hai koi hamaara tum jahaan jaanaan
tumheen ho vaadiyaan tum gulsitaan tum kahkashaan jaanaan
mujhe maaloom hai tumko muhabbat khauf deti hai
magar ye bhi muhabbat ka hai ik sakht imtihaan jaanaan
hawa se khushboo gul se rang dil se ranj-o-gham ye khat
gaye the tum to lete jaate apne sab nishaan jaanaan
ganwaaye din muhabbat ke muhabbat ko samajhne mein
dobaara waqt kya ham par yun hoga meherbaan jaanaan
chhupaayein hain inheen mein gham inheen ghazalon mein roya hoon
agar tum padh sako to padh lo meri siskiyaan jaanaan
ye parda kis liye hai kyun hamein apna nahin kahte
abhi tak faasle kyun hain hamaare darmiyaan jaanaan
mujhe bhi log kahte the ke aadil tum to apne ho
magar ab hamsafar koi na koi raazdaan jaanaan
जहाँ में सबका है कोई हमारा तुम जहाँ जानाँ
तुम्हीं हो वादियाँ तुम गुलसिताँ तुम कहकशाँ जानाँ
मुझे मालूम है तुमको मुहब्बत ख़ौफ़ देती है
मगर ये भी मुहब्बत का है इक सख़्त इम्तिहाँ जानाँ
हवा से ख़ुशबू, गुल से रंग दिल से रंज-ओ-ग़म ये ख़त
गये थे तुम तो लेते जाते अपने सब निशाँ जानाँ
गँवाए दिन मुहब्बत के मुहब्बत को समझने में
दुबारा वक़्त क्या हम पर यूँ होगा मेहरबाँ जानाँ
छुपाएँ हैं इन्हीं में ग़म इन्हीं ग़ज़लों में रोया हूँ
अगर तुम पढ़ सको तो पढ़ लो मेरी सिसकियाँ जानाँ
ये पर्दा किस लिए है क्यूँ हमें अपना नहीं कहते
अभी तक फ़ासले क्यूँ हैं हमारे दरमियाँ जानाँ
मुझे भी लोग कहते थे के आदिल तुम तो अपने हो
मगर अब हमसफ़र कोई न कोई राज़दाँ जानाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aadil Hasan
our suggestion based on Aadil Hasan
As you were reading Festive Shayari Shayari