abhi kuchh aur pal baitho chale jaana thehar jaao
sabhi hain ghalatiyaan meri main ne maana thehar jaao
bahut dar lagta hai tumko akela aane jaane mein
safar lamba hai rasta bhi hai anjaana thehar jaao
zara dekho ye mausam ko ki barsegi ghatta kaali
kabhi meri bhi to sun lo chali jaana thehar jaao
jo uski aankhon mein dekha nasha to ho hi jaana hai
kahi ab lag na jaaye koi jurmaana thehar jaao
main jo galati karoon phir se to phir se gussa hona tum
jo main phir se kahi bhatkoon to samjhaana thehar jaao
thehar jaao thehar jaao thehar jaao thehar jaao
ye kehta phir raha hai yaar deewaana thehar jaao
अभी कुछ और पल बैठो चले जाना ठहर जाओ
सभी हैं ग़लतियाँ मेरी मैं ने माना ठहर जाओ
बहुत डर लगता है तुमको अकेले आने जाने में
सफ़र लंबा है रस्ता भी है अंजाना ठहर जाओ
ज़रा देखो ये मौसम को कि बरसेगी घटा काली
कभी मेरी भी तो सुन लो चली जाना ठहर जाओ
जो उसकी आँखों में देखा नशा तो हो ही जाना है
कहीं अब लग न जाए कोई जुर्माना ठहर जाओ
मैं जो गलती करूँ फिर से तो फिर से गुस्सा होना तुम
जो मैं फिर से कहीं भटकूँ तो समझाना ठहर जाओ
ठहर जाओ ठहर जाओ ठहर जाओ ठहर जाओ
ये कहता फिर रहा है यार दीवाना ठहर जाओ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aqib khan
our suggestion based on Aqib khan
As you were reading Kashmir Shayari Shayari