ab aashiqi ke maayne sach mein badal gaye
dekha jo husn log wahin pe fisal gaye
maane nahin manaane se hai aisa shakhs vo
ham aise shakhs jo use dekha bahl gaye
tumne to bin bataaye hi rasta badal diya
achha hua ki ham zara pehle sambhal gaye
haan isliye bataana nahin chahta tha main
sunte hi uska naam wahan sab uchhal gaye
ik had talak to theek tha aage hua hai ye
zaakir hi ki tarah ajee ham bhi pighal gaye
अब आशिक़ी के मायने सच में बदल गए
देखा जो हुस्न लोग वहीं पे फिसल गए
मानें नहीं मनाने से है ऐसा शख़्स वो
हम ऐसे शख़्स जो उसे देखा बहल गए
तुमने तो बिन बताए ही रस्ता बदल दिया
अच्छा हुआ कि हम ज़रा पहले सँभल गए
हांँ इसलिए बताना नहीं चाहता था मैं
सुनते ही उसका नाम वहाँ सब उछल गए
इक हद तलक तो ठीक था आगे हुआ है ये
ज़ाकिर ही की तरह अजी हम भी पिघल गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aqib khan
our suggestion based on Aqib khan
As you were reading Chehra Shayari Shayari