koi naya sa zaviya talash kar le zindagi
wagarana apna raasta nikaal legi khud-kushi
ye kya zameen hil gai ye kya tamaam mar gaye
laga le mol jaan ka tu ai khuda sahi sahi
ye naamcheen-o-khaandaani the makaan ye kyun dhhe
wahi puraana waqia thi neev hi hili hui
phir ik dafa hai chhod di yun naukri huzoor ne
ki naukri ki unke phir usoolon se nahin bani
yaqeen to nahin mujhe magar main phir bhi dar raha
agar jo janam phir hua to khel hoga phir wahi
कोई नया सा ज़ाविया तलाश कर ले ज़िंदगी
वगरना अपना रास्ता निकाल लेगी ख़ुद-कुशी
ये क्या ज़मीन हिल गई ये क्या तमाम मर गए
लगा ले मोल जान का तू ऐ ख़ुदा सही सही
ये नामचीन-ओ-ख़ानदानी थे मकाँ ये क्यों ढहे
वही पुराना वाक़िआ थी नींव ही हिली हुई
फिर इक दफ़ा है छोड़ दी यूँ नौकरी हुज़ूर ने
कि नौकरी की उनके फिर उसूलों से नहीं बनी
यक़ीन तो नहीं मुझे मगर मैं फिर भी डर रहा
अगर जो जन्म फिर हुआ तो खेल होगा फिर वही
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aqib khan
our suggestion based on Aqib khan
As you were reading Dar Shayari Shayari