sada jaisi tamannaa kyun bhala meri nahin hai ab | सदा जैसी तमन्ना क्यूँ भला मेरी नहीं है अब

  - Aqib khan

sada jaisi tamannaa kyun bhala meri nahin hai ab
mujhe uska bane rahne mein dil chaspee nahin hai ab

jo tum kuchh waqt pehle aate to vo mil bhi saka tha
hamaare bhi shehar ka yaar vo shahri nahin hai ab

agar tum achhe ho to badle mein achha hi milta hai
mujhe to dost aisi bhi galat-fahmi nahin hai ab

hamesha ham se hi ummeed hai sab jhel jaayen ham
use bhi koi samjhaao ki vo bacchi nahin hai ab

vo baatein pyaar ki kuchh din hi achhi lagti hain sabko
mai sunta hi nahin hoon aur vo karti nahin hai ab

सदा जैसी तमन्ना क्यूँ भला मेरी नहीं है अब
मुझे उसका बने रहने में दिल चस्पी नहीं है अब

जो तुम कुछ वक़्त पहले आते तो वो मिल भी सकता था
हमारे भी शहर का यार वो शहरी नहीं है अब

अगर तुम अच्छे हो तो बदले में अच्छा ही मिलता है
मुझे तो दोस्त ऐसी भी ग़लत-फ़हमी नहीं है अब

हमेशा हम से ही उम्मीद है सब झेल जाएँ हम
उसे भी कोइ समझाओ कि वो बच्ची नहीं है अब

वो बातें प्यार की कुछ दिन ही अच्छी लगती हैं सबको
मै सुनता ही नहीं हूँ और वो करती नहीं है अब

  - Aqib khan

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aqib khan

As you were reading Shayari by Aqib khan

Similar Writers

our suggestion based on Aqib khan

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari