adaaon ka jaadu dikhaao kabhi tum
utar ke to zeene se aao kabhi tum
wagarana to shrungaar bekar hain sab
agar jo na dil ko sajaao kabhi tum
main likhne laga hoon naye se qaside
ki is bahr mein bhi nahaao kabhi tum
hai neki kamaane ka achha tareeqa
ki rote hue ko hansaao kabhi tum
ghamon kii nami bhi phir udne lagegi
charaagh ek dil mein jalao kabhi tum
dareecha to kholo kabhi apne man ka
ghaleecha-e-dil to bichao kabhi tum
meri kaifiyat yun to achhi hai lekin
hai armaan dil mein ki aao kabhi tum
amaan ik naseehat hai tumko hamaari
sahi waqt par dil lagao kabhi tum
अदाओं का जादू दिखाओ कभी तुम
उतर के तो ज़ीने से आओ कभी तुम
वगरना तो श्रृंगार बेकार हैं सब
अगर जो न दिल को सजाओ कभी तुम
मैं लिखने लगा हूँ नये से क़सीदे
कि इस बह्र में भी नहाओ कभी तुम
है नेकी कमाने का अच्छा तरीक़ा
कि रोते हुए को हँसाओ कभी तुम
ग़मों की नमी भी फिर उड़ने लगेगी
चराग़ एक दिल में जलाओ कभी तुम
दरीचा तो खोलो कभी अपने मन का
ग़लीचा-ए-दिल तो बिछाओ कभी तुम
मेरी कैफ़ियत यूँ तो अच्छी है लेकिन
है अरमान दिल में कि आओ कभी तुम
अमान इक नसीहत है तुमको हमारी
सही वक़्त पर दिल लगाओ कभी तुम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amaan Pathan
our suggestion based on Amaan Pathan
As you were reading Waqt Shayari Shayari