ik bahaana ho laut aane ka
kya pata ye sabab ho jaane ka
ye ghazalgoi shay to theek hai par
ek khatra hai jaan jaane ka
tum hamesha hi late aate ho
kya hi matlab tumhein bulane ka
mujhe phir chhod jaaoge tanhaa
faayda kya gale lagaane ka
ise raaton mein gungunata tha
raaz gahra hai is taraane ka
kaash mustaqbil aur maazi ke
beech rasta ho aane jaane ka
tune ehsaan jo kiye mujh pe
ek mauqa to de chukaane ka
इक बहाना हो लौट आने का
क्या पता ये सबब हो जाने का
ये ग़ज़लगोई शय तो ठीक है पर
एक ख़तरा है जान जाने का
तुम हमेशा ही लेट आते हो
क्या ही मतलब तुम्हें बुलाने का
मुझे फिर छोड़ जाओगे तन्हा
फ़ायदा क्या गले लगाने का
इसे रातों में गुनगुनाता था
राज़ गहरा है इस तराने का
काश मुस्तक़बिल और माज़ी के
बीच रस्ता हो आने जाने का
तूने एहसान जो किए मुझ पे
एक मौक़ा तो दे चुकाने का
As you were reading Shayari by Amaan Pathan
our suggestion based on Amaan Pathan
As you were reading undefined Shayari