main rah raha hoon ghamzada sa yaar tere bin bahut
ziyaada pyaar chahiye kise hain chaar din bahut
hai daftar is qadar jahannum isliye hoon chidchida
kiraye ka makaan hai khadoos maaalkin bahut
dara dara sa phir raha tha teergi mein doob kar
main dekh kar tujhe sanam hua hoon mutmain bahut
main zindagi ke har padaav par rahoonga tere saath
saral bahut hai bolna nibhaana hai kathin bahut
jo sansadon mein hain kamaate do crore roz ke
unhen pata nahin gareeb ke bure hain din bahut
मैं रह रहा हूँ ग़मज़दा सा यार तेरे बिन बहुत
ज़ियादा प्यार चाहिए किसे हैं चार दिन बहुत
है दफ़्तर इस क़दर जहन्नुम इसलिए हूँ चिड़चिड़ा
किराए का मकान है खड़ू़स मालकिन बहुत
डरा डरा सा फिर रहा था तीरगी में डूब कर
मैं देख कर तुझे सनम हुआ हूँ मुतमइन बहुत
मैं ज़िंदगी के हर पड़ाव पर रहूँगा तेरे साथ
सरल बहुत है बोलना निभाना है कठिन बहुत
जो संसदों में हैं कमाते दो करोड़ रोज़ के
उन्हें पता नहीं ग़रीब के बुरे हैं दिन बहुत
As you were reading Shayari by Amaan Pathan
our suggestion based on Amaan Pathan
As you were reading undefined Shayari