apni umr mein hamne jaanaan do do jhanjhat pale hain
ek muhabbat aur padhaai dono saath sambhaale hain
yaar muhabbat aur kitaaben sabse badhkar hain pounji
ye dono hain saath hamaare ham inke rakhwaale hain
ye socha tha maine ik din tujh se byah rachaoonga
lekin ab mehsoos hua hai tere dhang niraale hain
jis ghar mein mujhko rahna tha waqt ne aisi chaal chali
us ghar mein khud apne haathon hamne dale taale hain
ya arhat se baat karo tum ya jaakar ke sher suno
ye unke anuraagi hain jo gautam peepal waale hain
अपनी उम्र में हमने जानाँ दो दो झंझट पाले हैं
एक मुहब्बत और पढ़ाई दोनों साथ सँभाले हैं
यार मुहब्बत और किताबें सबसे बढ़कर हैं पूँजी
ये दोनों हैं साथ हमारे हम इनके रखवाले हैं
ये सोचा था मैंने इक दिन तुझ से ब्याह रचाऊँगा
लेकिन अब महसूस हुआ है तेरे ढंग निराले हैं
जिस घर में मुझको रहना था वक़्त ने ऐसी चाल चली
उस घर में ख़ुद अपने हाथों हमने डाले ताले हैं
या अरहत से बात करो तुम या जाकर के शेर सुनो
ये उनके अनुरागी हैं जो गौतम पीपल वाले हैं
As you were reading Shayari by Prashant Arahat
our suggestion based on Prashant Arahat
As you were reading undefined Shayari