fasaane se haqeeqat ban gaye hain | फ़साने से हक़ीक़त बन गए हैं

  - Arohi Tripathi

fasaane se haqeeqat ban gaye hain
hamaari vo mohabbat ban gaye hain

meri to saans chalti hain unhin se
hamaari vo zaroorat ban gaye hain

badi bekar aadat lag gai hai
magar vo khaas aadat ban gaye hain

mujhe chaahat nahin zarra barabar
mere dil kii hukoomat ban gaye hain

namaazi ban gaye hain baad kaafir
hamaari jab ibadat ban gaye hain

फ़साने से हक़ीक़त बन गए हैं
हमारी वो मोहब्बत बन गए हैं

मिरी तो साँस चलती हैं उन्हीं से
हमारी वो ज़रूरत बन गए हैं

बड़ी बेकार आदत लग गई है
मगर वो ख़ास आदत बन गए हैं

मुझे चाहत नहीं ज़र्रा बराबर
मिरे दिल की हुकूमत बन गए हैं

नमाज़ी बन गए हैं बाद काफ़िर
हमारी जब इबादत बन गए हैं

  - Arohi Tripathi

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Arohi Tripathi

As you were reading Shayari by Arohi Tripathi

Similar Writers

our suggestion based on Arohi Tripathi

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari