zameen mein ham abhi to so rahe hain
abhi ham ek hain ham do rahe hain
safar se laut kar ham aa gaye hain
munaafiq baithkar ab ro rahe hain
laga hai daagh ye kapda utha do
usi hi daagh mein sab dho rahe hain
sabhi ka haath tha jo hain yahan par
safon mein ek karke ho rahe hain
जमीं में हम अभी तो सो रहे हैं
अभी हम एक हैं हम दो रहे हैं
सफ़र से लौट कर हम आ गए हैं
मुनाफ़िक बैठकर अब रो रहे हैं
लगा है दाग़ ये कपड़ा उठा दो
उसी ही दाग़ में सब धो रहे हैं
सभी का हाथ था जो हैं यहाँ पर
सफों में एक करके हो रहे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Arohi Tripathi
our suggestion based on Arohi Tripathi
As you were reading Musafir Shayari Shayari