paida hue hain khaak se ya aasmaan se ham
aaye hain is jahaan mein bhala kis jahaan se ham
dar hai junoon-e-marg mein kar len na khud-kushi
bezaar ho chuke hain bahut jism-o-jaan se ham
kab tak khulega un pe taqaza-e-maah-o-saal
kab tak najaat paayenge dard-e-nihaan se ham
laazim tera sawaal par ai ham-safar na pooch
laaye hain tujh ko dhoondh ke waapas kahaan se ham
ham ko jahaan mein ahl-e-t'ayyush se kya garz
rakhte t'alluqaat hain aashuftagan se ham
kis taur rah sakega ye saalim zara bata
dil ek koh-e-barf sa aatish-ba-jaan se ham
haalat hamaari dekh ke lagta hai ye abhi
bach kar nikal sakenge na qaid-e-giraan se ham
पैदा हुए हैं ख़ाक से या आसमाँ से हम
आए हैं इस जहाँ में भला किस जहाँ से हम
डर है जुनून–ए–मर्ग में कर लें न ख़ुद–कुशी
बेज़ार हो चुके हैं बहुत जिस्म–ओ–जाँ से हम
कब तक खुलेगा उन पे तक़ाज़ा-ए-माह-ओ-साल
कब तक नजात पाएँगे दर्द–ए–निहाँ से हम
लाज़िम तेरा सवाल पर ऐ हम–सफ़र न पूछ
लाए हैं तुझ को ढूँढ के वापस कहाँ से हम
हम को जहाँ में अहल-ए-त'अय्युश से क्या ग़रज़
रखते त'अल्लुक़ात हैं आशुफ़्तगाँ से हम
किस तौर रह सकेगा ये सालिम ज़रा बता
दिल एक कोह–ए–बर्फ़ सा आतिश–ब–जाँ से हम
हालत हमारी देख के लगता है ये ‘अभी’
बच कर निकल सकेंगे न क़ैद-ए-गिराँ से हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abhishek Bhadauria 'Abhi'
our suggestion based on Abhishek Bhadauria 'Abhi'
As you were reading Berozgari Shayari Shayari