sar rakhke jinpe roye vo shaane chale gaye
sab zindagi se yaar purane chale gaye
tum sach samajh rahe ho jise khwaab hai faqat
ham khud ko neend mein ye bataane chale gaye
kuchh zakham teri yaad ka paani hain bhar rahe
kuchh zakham meri pyaas bujhaane chale gaye
ab hai nahin ye waqt yahan par kisi ka bhi
apne kabhi the jo vo zamaane chale gaye
aakar kaha unhonne milenge vo raat mein
phir din kahi vo aur bitaane chale gaye
ik shakhs tha abhi ki jo haasil na ho saka
ik aarzoo thi ham jise paane chale gaye
सर रखके जिनपे रोए वो शाने चले गए
सब ज़िंदगी से यार पुराने चले गए
तुम सच समझ रहे हो जिसे ख़्वाब है फ़क़त
हम ख़ुद को नींद में ये बताने चले गए
कुछ ज़ख़्म तेरी याद का पानी हैं भर रहे
कुछ ज़ख़्म मेरी प्यास बुझाने चले गए
अब है नहीं ये वक़्त यहाँ पर किसी का भी
अपने कभी थे जो वो ज़माने चले गए
आकर कहा उन्होंने मिलेंगे वो रात में
फिर दिन कहीं वो और बिताने चले गए
इक शख़्स था ‘अभी’ कि जो हासिल न हो सका
इक आरज़ू थी हम जिसे पाने चले गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abhishek Bhadauria 'Abhi'
our suggestion based on Abhishek Bhadauria 'Abhi'
As you were reading Mahatma Gandhi Shayari Shayari