koi bhi tum sa nahin hai dekhta hoon | कोई भी तुम सा नहीं है देखता हूँ

  - Chetan

koi bhi tum sa nahin hai dekhta hoon
tumko mujh par bhi yaqeen hai dekhta hoon

jo hain unmein kya nahin hai dekhta hoon
haan khuda tu hai yahin hai dekhta hoon

jo yahan tha ab nahin hai khwaab tha kya
vo yahan hai ya nahin hai dekhta hoon

choomne se jo labon par phir na lauti
us shikan mein ye jabeen hai dekhta hoon

ab talak jo maa ko aantee kah raha hai
kaisa tera hum-nasheen hai dekhta hoon

saare mausam saath guzre phir bhi kaanta
bad-numa hai gul haseen hai dekhta hoon

naam jiska meri takhti par gadha tha
gair ik ghar ka makeen hai dekhta hoon

कोई भी तुम सा नहीं है देखता हूँ
तुमको मुझ पर भी यक़ीं है देखता हूँ

जो हैं उनमें क्या नहीं है देखता हूँ
हाँ ख़ुदा तू है यहीं है देखता हूँ

जो यहाँ था अब नहीं है ख़्वाब था क्या
वो यहाँ है या नहीं है देखता हूँ

चूमने से जो लबों पर फिर न लौटी
उस शिकन में ये जबीं है देखता हूँ

अब तलक जो माँ को आंटी कह रहा है
कैसा तेरा हम-नशीं है देखता हूँ

सारे मौसम साथ गुज़रे फिर भी काँटा
बद-नुमा है गुल हसीं है देखता हूँ

नाम जिसका मेरी तख़्ती पर गढ़ा था
ग़ैर इक घर का मकीं है देखता हूँ

  - Chetan

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chetan

As you were reading Shayari by Chetan

Similar Writers

our suggestion based on Chetan

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari