us pari ki yaad aani thi hamein
sog ki baatein bataani thi hamein
khwaab zer-e-tegh rakh kar chal diye
muflisi ghar ki mitaani thi hamein
maut se uljhe isee ummeed mein
baat unki aazmaani thi hamein
us gali ko chhod kar ham aa gaye
jis gali se sargiraani thi hamein
phool milte the hamein bhi date par
baat kuchh aur thi jawaani thi hamein
saanp pale aasteen mein jaankar
dosti mein chot khaani thi hamein
jaam aadha chhod kar sunne lage
yaad to poori kahaani thi hamein
उस परी की याद आनी थी हमें
सोग की बातें बतानी थी हमें
ख़्वाब ज़ेर-ए-तेग़ रख कर चल दिए
मुफ़लिसी घर की मिटानी थी हमें
मौत से उलझे इसी उम्मीद में
बात उनकी आज़मानी थी हमें
उस गली को छोड़ कर हम आ गए
जिस गली से सरगिरानी थी हमें
फूल मिलते थे हमें भी डेट पर
बात कुछ और थी, जवानी थी हमें
साँप पाले आस्तीं में जानकर
दोस्ती में चोट खानी थी हमें
जाम आधा छोड़ कर सुनने लगे
याद तो पूरी कहानी थी हमें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Happy Srivastava 'Ambar'
our suggestion based on Happy Srivastava 'Ambar'
As you were reading Promise Shayari Shayari