kuchh ho gaya hai haal ye dil ka tumhaare baad | कुछ हो गया है हाल ये दिल का तुम्हारे बाद

  - Hasan Raqim

kuchh ho gaya hai haal ye dil ka tumhaare baad
lagta nahin hai koi bhi apna tumhaare baad

kitne hi log aaye zindagi mein haan magar
aaya nahin hai koi bhi tum sa tumhaare baad

tumne bana liye hain naye dost mere baad
main hoon ki rah gaya hoon akela tumhaare baad

sukhe pade darakht hain murjha gaye hain phool
hone laga hai baag bhi sehra tumhaare baad

tum the to mehfilon mein bulaaya gaya mujhe
ab poochhti nahin hai ye duniya tumhaare baad

कुछ हो गया है हाल ये दिल का तुम्हारे बाद
लगता नहीं है कोई भी अपना तुम्हारे बाद

कितने ही लोग आए ज़िंदगी में, हाँ मगर
आया नहीं है कोई भी तुम सा तुम्हारे बाद

तुमने बना लिए हैं नये दोस्त मेरे बाद
मैं हूँ की रह गया हूँ अकेला तुम्हारे बाद

सूखे पड़े दरख्त हैं मुरझा गए हैं फूल
होने लगा है बाग़ भी सहरा तुम्हारे बाद

तुम थे तो महफ़िलों में बुलाया गया मुझे
अब पूछती नहीं है ये दुनिया तुम्हारे बाद

  - Hasan Raqim

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hasan Raqim

As you were reading Shayari by Hasan Raqim

Similar Writers

our suggestion based on Hasan Raqim

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari