beete lamhe | "बीते लम्हें"

  - Hashim Khan

beete lamhe
jo the har lamhe mein sirf mere

unse ab saajha ham jazbaat nahin karte
jo kuchh waqt baat na hone par naaraz hua karte the

haan yaar unse ab ham baat nahin karte
jinki zulfon mein thi har chaanv meri

vo ab is begairat dhoop mein bhi barsaat nahin karte
jinke labon se ham ishq padha karte the

ab gham ho ya khushi ham mulaqaat nahin karte
yaad aaye mujhe unke saath janmon ke kuchh vaade

kambakht is janam mein bhi vaadon ke saath nahin chalte
jinhonne sikhaaya tha mujhe chalne ka hunar

vo ab gir jaane par bhi aage haath nahin karte
harf-e-ishq seekha hamne jin dilo se

vo dil bhi ab dil ka kaam nahin karte
aansu bhi ab sukhe se aate hai huzoor

ye aansu bhi theek se khairaat nahin karte

"बीते लम्हें"
जो थे हर लम्हे में सिर्फ़ मेरे

उनसे अब साझा हम जज़्बात नहीं करते
जो कुछ वक्त बात न होने पर नाराज़ हुआ करते थे

हाँ यार उनसे अब हम बात नहीं करते
जिनकी ज़ुल्फ़ों में थी हर छाँव मेरी

वो अब इस बेग़ैरत धूप में भी बरसात नहीं करते
जिनके लबों से हम इश्क़ पढ़ा करते थे

अब ग़म हो या ख़ुशी हम मुलाक़ात नहीं करते
याद आए मुझे उनके सात जन्मों के कुछ वादे

कमबख़्त इस जन्म में भी वादों के साथ नहीं चलते
जिन्होंने सिखाया था मुझे चलने का हुनर

वो अब गिर जाने पर भी आगे हाथ नहीं करते
हर्फ़-ए-इश्क़ सीखा हमने जिन दिलो से

वो दिल भी अब दिल का काम नहीं करते
आँसू भी अब सूखे से आते है हुज़ूर

ये आँसू भी ठीक से ख़ैरात नहीं करते

  - Hashim Khan

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Hashim Khan

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari