chand paise kya kamaane lag gaye
log aalim ko padhaane lag gaye
jaan jinpe ham lutaane lag gaye
vo bhi hamko hi mitaane lag gaye
vo hamesha se jo mere paas tha
usko paane mein zamaane lag gaye
jinke aansu poche maine aankhon ke
vo mujhe aankhen dikhaane lag gaye
baap ka sar se jo saaya kya utha
gham ke saaye haq jataane lag gaye
rasta jinko bhi bataaya maine vo
mujhko hi rasta dikhaane lag gaye
khud ko ab bhi dhoondhne mein hoon laga
dost sab mere kamaane lag gaye
vo jo mere qatl ke saazish mein the
mujh ko dekha muskuraane lag gaye
चंद पैसे क्या कमाने लग गए
लोग आलिम को पढ़ाने लग गए
जान जिनपे हम लुटाने लग गए
वो भी हमको ही मिटाने लग गए
वो हमेशा से जो मेरे पास था
उसको पाने में ज़माने लग गए
जिनके आँसू पोछे मैंने आँखों के
वो मुझे आँखें दिखाने लग गए
बाप का सर से जो साया क्या उठा
ग़म के साये हक़ जताने लग गए
रस्ता जिनको भी बताया मैंने वो
मुझको ही रस्ता दिखाने लग गए
ख़ुद को अब भी ढूँढ़ने में हूँ लगा
दोस्त सब मेरे कमाने लग गए
वो जो मेरे क़त्ल के साज़िश में थे
मुझ को देखा मुस्कुराने लग गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Irshad Siddique "Shibu"
our suggestion based on Irshad Siddique "Shibu"
As you were reading Mehboob Shayari Shayari