abhi tak musalsal isee mein raha hoon
ye mat soch tu ishq mein main naya hoon
tabaahi liye phir raha saath apne
zara door rah mujh se main ik bala hoon
mujhe gul machaana hai aur khaamoshi se
so rasman main har sher mein cheekhta hoon
main pehle jo bhi tha vo main tha magar jaan
main jo hoon abhi aaj main kaun kya hoon
mujhe naaz hai ishq pe aapke par
main anjaam is ishq ka jaanta hoon
tujhe bhool jaane ke khaatir main aqsar
tujhe yaad karta tujhe sochta hoon
main bhi aadmi tha kabhi pehle par aaj
kisi ki muhabbat mein patthar hua hoon
lagaaya hai aise dera gham ne mujh mein
lage hai ki main gham ke khaatir bana hoon
tere hijr ke jalte is sehra mein main
shab-e-hijr se hi kahi laapata hoon
tumhaari nigaahon mein kuchh aur hai ye
muhabbat ko main khoob pahchaanta hoon
kabhi aa ke suljhaa de mujh ko tu jaazib
gaya jab se hai tu main uljha pada hoon
अभी तक मुसलसल इसी में रहा हूँ
ये मत सोच तू, इश्क़ में, मैं नया हूँ
तबाही लिए फिर रहा साथ अपने
ज़रा दूर रह मुझ से मैं इक बला हूँ
मुझे गुल मचाना है और ख़ामुशी से
सो रस्मन मैं हर शेर में चीखता हूँ
मैं पहले जो भी था वो "मैं" था मगर जान
मैं जो हूँ अभी आज "मैं", कौन, क्या हूँ
मुझे नाज़ है इश्क़ पे आपके पर
मैं अंजाम इस इश्क़ का जानता हूँ
तुझे भूल जाने के ख़ातिर मैं अक़सर
तुझे याद करता तुझे सोचता हूँ
मैं भी आदमी था कभी पहले पर आज
किसी की मुहब्बत में पत्थर हुआ हूँ
लगाया है ऐसे डेरा ग़म ने मुझ में
लगे है कि मैं ग़म के ख़ातिर बना हूँ
तेरे हिज्र के जलते इस सहरा में मैं
शब-ए-हिज्र से ही कहीं लापता हूँ
तुम्हारी निगाहों में कुछ और है ये
मुहब्बत को मैं खूब पहचानता हूँ
कभी आ के सुलझा दे मुझ को तू 'जाज़िब'
गया जब से है तू मैं उलझा पड़ा हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chandan Sharma
our suggestion based on Chandan Sharma
As you were reading Phool Shayari Shayari