karz sab ko chukaana padta hai | कर्ज़ सब को चुकाना पडता है - Chandan Sharma

karz sab ko chukaana padta hai
gham mein bhi muskurana padta hai

ishq anjaane mein ho jaata hai
hum ko kab dil lagana padta hai

din mohabbat mein beet jaata hai
shab havas mein bitaana padta hai

neend kal tak haraam thi meri
aaj mujh ko jagaana padta hai

rooh ka rooh se milan hai ishq
ishq mein jaan se jaana padta hai

kuch naya karte rooh par marte
jism par to zamaana padta hai

meri har baat taalne ke liye
usko bas ik bahaana padta hai

aap hi rooth jaate hain saare
rabt tanhaa nibhaana padta hai

daur-e-haazir sudhaarne ke liye
daur-e-maazi bhulaana padta hai

us ko mujh par yakeen nahin jaajib
zakham apna dikhaana padta hai

कर्ज़ सब को चुकाना पडता है
ग़म में भी मुस्कुराना पड़ता है

इश्क़ अंजाने में हो जाता है
हम को कब दिल लगाना पडता है

दिन मोहब्बत में बीत जाता है
शब हवस में बिताना पडता है

नींद कल तक हराम थी मेरी
आज मुझ को जगाना पडता है

रूह का रूह से मिलन है इश्क़
इश्क़ में जाँ से जाना पड़ता है

कुछ नया करते रूह पर मरते
जिस्म पर तो ज़माना पडता है

मेरी हर बात टालने के लिए
उसको बस इक बहाना पडता है

आप ही रूठ जाते हैं सारे
रब्त तन्हा निभाना पडता है

दौर-ए-हाज़िर सुधारने के लिए
दौर-ए-माज़ी भुलाना पड़ता है

उस को मुझ पर यकीं नहीं "जाजिब"
ज़ख़्म अपना दिखाना पड़ता है

- Chandan Sharma
0 Likes

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chandan Sharma

As you were reading Shayari by Chandan Sharma

Similar Writers

our suggestion based on Chandan Sharma

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari