wali ke lahu ki rawaani ghazal hai | वली के लहू की रवानी ग़ज़ल है - Chandan Sharma

wali ke lahu ki rawaani ghazal hai
kisi naazneen ki jawaani ghazal hai

kai misron ke saath vo rahne waali
kai mardon ki ik zanaani ghazal hai

mohabbat uqoobat tijaarat shikaayat
haqeeqat bhi hai aur kahaani ghazal hai

hai ik rabt lafzon ka lafzon se aur kya
saleeke se jis ko nibhaani ghazal hai

muhabbat mein milte hain jaane kai zakham
unhin zakhamon ki ik nishaani ghazal hai

tira zikr mehfil mein chheda tha maine
sabhi ne kaha kya suhaani ghazal hai

tire hoth misre badan bahr hai aur
tiri ye nigaahen maani ghazal hai

vo jis shahr mein rehta hai ishq mera
wahan ki hawa aur paani ghazal hai

churaaya hai jis ladki ne dil mera vo
badi khoobsurat sayaani ghazal hai

zabaan kah nahin sakti jo baatein jaazib
unhen khaamoshi mein bataani ghazal hai

वली के लहू की रवानी ग़ज़ल है
किसी नाज़नीं की जवानी ग़ज़ल है

कई मिसरों के साथ वो रहने वाली
कई मर्दों की इक ज़नानी ग़ज़ल है

मोहब्बत, उक़ूबत, तिज़ारत शिकायत
हक़ीक़त भी है और कहानी ग़ज़ल है

है इक रब्त लफ़्ज़ों का लफ़्ज़ों से और क्या
सलीके से जिस को निभानी ग़ज़ल है

मुहब्बत में मिलते हैं जाने कई जख़्म
उन्हीं जख़्मों की इक निशानी ग़ज़ल है

तिरा जिक़्र महफ़िल में छेड़ा था मैंने
सभी ने कहा क्या सुहानी ग़ज़ल है

तिरे होठ मिसरे बदन बह्र है और
तिरी ये निगाहें मआनी ग़ज़ल है

वो जिस शह्र में रहता है इश्क़ मेरा
वहाँ की हवा और पानी ग़ज़ल है

चुराया है जिस लड़की ने दिल मिरा वो
बड़ी खूबसूरत सयानी ग़ज़ल है

ज़बाँ कह नहीं सकती जो बातें "जाज़िब"
उन्हें ख़ामुशी में बतानी ग़ज़ल है

- Chandan Sharma
1 Like

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chandan Sharma

As you were reading Shayari by Chandan Sharma

Similar Writers

our suggestion based on Chandan Sharma

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari