fasaane se haqeeqat ban chuki ho
bala ki khoobsurat ban chuki ho
mujhe is baat ka afsos bhi hai
kisi ke ghar ki izzat ban chuki ho
tumhaare vaaste sab lad rahe hain
ki jaise tum siyaasat ban chuki ho
ajal tak be-qaraari hi rahegi
na jaane kaisi aadat ban chuki ho
kahi sunwaai jiski ho na paai
tum aisi ik shikaayat ban chuki ho
jiya jaata nahin marna bhi mushkil
mere khaatir to aaft ban chuki ho
फ़साने से हक़ीक़त बन चुकी हो
बला की ख़ूबसूरत बन चुकी हो
मुझे इस बात का अफ़सोस भी है
किसी के घर की इज़्ज़त बन चुकी हो
तुम्हारे वास्ते सब लड़ रहे हैं
कि जैसे तुम सियासत बन चुकी हो
अजल तक बे-करारी ही रहेगी
न जाने कैसी आदत बन चुकी हो
कहीं सुनवाई जिसकी हो न पाई
तुम ऐसी इक शिकायत बन चुकी हो
जिया जाता नहीं मरना भी मुश्किल
मिरे ख़ातिर तो आफ़त बन चुकी हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by jaani Aggarwal taak
our suggestion based on jaani Aggarwal taak
As you were reading Khuddari Shayari Shayari