jo mudde uljhe sarkaron se
vo tay hone phir talwaaron se
kuchh logon se yun rishta mera
jaise chhat ka hai deewaron se
kal marne waala to aaj mare
murda behtar hai beemaaron se
ye khoobi hai janta raaj mein ik
janta lad jaati darbaaron se
daaru badle chunne waalo ke
haalaat ho gaye laachaaron se
quwwat kya hai mere dushman kii
mujhko khatra hai gaddaaron se
जो मुद्दे उलझे सरकारों से
वो तय होने फिर तलवारों से
कुछ लोगों से यूँ रिश्ता मेरा
जैसे छत का है दीवारों से
कल मरने वाला तो आज मरे
मुर्दा बेहतर है बीमारों से
ये ख़ूबी है जनता राज में इक
जनता लड़ जाती दरबारों से
दारू बदले चुनने वालो के
हालात हो गए लाचारों से
क़ुव्वत क्या है मेरे दुश्मन की
मुझको ख़तरा है गद्दारों से
As you were reading Shayari by Jagveer Singh
our suggestion based on Jagveer Singh
As you were reading undefined Shayari