gum-shuda aur bekar main ho gaya
vo gai aur beemaar main ho gaya
ilm ik bhi hunar ka nahin tha mujhe
vo mili aur fankaar main ho gaya
khel khela nahin zindagi se kabhi
ik dafa khelkar haar main ho gaya
aaj aisa jalaya kisi ne mujhe
dekh kaise na angaar main ho gaya
maante the kabhi jo mujhe vo khuda
lo gazab aaj khuddaar main ho gaya
bas lagaaee nahi thi nashe ki talab
ab nashe ka talabgaar main ho gaya
गुम-शुदा और बेकार मैं हो गया
वो गई और बीमार मैं हो गया
इल्म इक भी हुनर का नहीं था मुझे
वो मिली और फ़नकार मैं हो गया
खेल खेला नहीं ज़िंदगी से कभी
इक दफ़ा खेलकर हार मैं हो गया
आज ऐसा जलाया किसी ने मुझे
देख कैसे न अंगार मैं हो गया
मानते थे कभी जो मुझे वो ख़ुदा
लो ग़ज़ब आज ख़ुद्दार मैं हो गया
बस लगाई नही थी नशे की तलब
अब नशे का तलबगार मैं हो गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaypratap chauhan
our suggestion based on Jaypratap chauhan
As you were reading Education Shayari Shayari