hamaare gham sabhi itne tawangar ho gaye hain | हमारे ग़म सभी इतने तवंगर हो गए हैं - Jayraj singh jhala

hamaare gham sabhi itne tawangar ho gaye hain
nikal kar aankh se aansu samandar ho gaye hain

sadaqat saamne sab ke bhala zaahir ho kaise
in eenton ke sabhi daag ab plaster ho gaye hain

yun to ham jaante hai chehre ye kitne haseen hain
mukhote odhkar lekin haseen-tar ho gaye hain

hamaari mannaton ka qatl hota hai sar-e-aam
ibaadatgaah-o-maqtl sab barabar ho gaye hain

tareeqe baat karne ke nahin ab pehle jaise
purane yaar sab mere ab afsar ho gaye hain

hamaare muskuraane ka sabab kuch bhi nahin hain
samjhiye yun ki jhaalaa jee kalander ho gaye hain

हमारे ग़म सभी इतने तवंगर हो गए हैं
निकल कर आँख से आँसू समंदर हो गए हैं

सदाक़त सामने सब के भला ज़ाहिर हो कैसे
इन ईंटों के सभी दाग़ अब पलस्तर हो गए हैं

यूँ तो हम जानते है चेहरे ये कितने हसीं हैं
मुखौटे ओढ़कर लेकिन हसीं-तर हो गए हैं

हमारी मन्नतों का क़त्ल होता है सर-ए-आम
इबादतगाह-ओ-मक़्तल सब बराबर हो गए हैं

तरीक़े बात करने के नहीं अब पहले जैसे
पुराने यार सब मेरे अब अफ़सर हो गए हैं

हमारे मुस्कुराने का सबब कुछ भी नहीं हैं
समझिए यूँ कि झाला जी कलंदर हो गए हैं

- Jayraj singh jhala
0 Likes

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jayraj singh jhala

As you were reading Shayari by Jayraj singh jhala

Similar Writers

our suggestion based on Jayraj singh jhala

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari