jo hamein rasta dikhaayega vo taara hai kahaan
dil pareshaan hai bahut rahbar hamaara hai kahaan
baarishon ne ghar hamaare dhaa diye poori tarah
sar chhupaane ko kahin koii sahaara hai kahaan
apne aalishaan kothee par na itraao kabhi
tum to kuchh pal ke musafir ho tumhaara hai kahaan
shehar mein to bheed hai ham jis taraf daalen nazar
jo mere dil ko sukoon de woh nazaara hai kahaan
जो हमें रस्ता दिखाएगा वो तारा है कहाँ
दिल परेशाँ है बहुत रहबर हमारा है कहाँ
बारिशों ने घर हमारे ढ़ा दिए पूरी तरह
सर छुपाने को कहीं कोई सहारा है कहाँ
अपने आलीशान कोठी पर न इतराओ कभी
तुम तो कुछ पल के मुसाफ़िर हो तुम्हारा है कहाँ
शहर में तो भीड़ है हम जिस तरफ़ डालें नज़र
जो मिरे दिल को सुकूँ दे वह नज़ारा है कहाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Sukoon Shayari Shayari