kisi ke khauf se rasta nahin badla | किसी के ख़ौफ़ से रस्ता नहीं बदला

  - Meem Alif Shaz

kisi ke khauf se rasta nahin badla
ameeri aayi to lahja nahin badla

sabhi ke saamne hanste rahe lekin
zamaane ke liye chehra nahin badla

khabar thi dariya mein toofaan hai aaya
mahz is ke liye dariya nahin badla

padhaai ishq ki mushkil bahut thi shaaz
kitaabon ka magar basta nahin badla

किसी के ख़ौफ़ से रस्ता नहीं बदला
अमीरी आई तो लहजा नहीं बदला

सभी के सामने हँसते रहे लेकिन
ज़माने के लिए चेहरा नहीं बदला

ख़बर थी दरिया में तूफ़ान है आया
महज़ इस के लिए दरिया नहीं बदला

पढ़ाई इश्क़ की मुश्किल बहुत थी शाज़
किताबों का मगर बस्ता नहीं बदला

  - Meem Alif Shaz

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meem Alif Shaz

As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz

Similar Writers

our suggestion based on Meem Alif Shaz

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari