tum chalte chalte kyun ruk jaate ho
apne gham ko baahar kyun laate ho
jab ummeed nahin us ke aane ki
har vaade se thokar kyun khaate ho
jab duniya sunti hi nahin khaamoshi
tum itni khaamoshi kyun gaate ho
sheeshe se baatein karte ho lekin
mere liye patthar kyun ban jaate ho
तुम चलते चलते क्यों रुक जाते हो
अपने ग़म को बाहर क्यों लाते हो
जब उम्मीद नहीं उस के आने की
हर वादे से ठोकर क्यों खाते हो
जब दुनिया सुनती ही नहीं ख़ामोशी
तुम इतनी ख़ामोशी क्यों गाते हो
शीशे से बातें करते हो लेकिन
मेरे लिए पत्थर क्यों बन जाते हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Dard Shayari Shayari