tumhaare lafzon mein itni thakan kyun hai
ghazal zinda hai to us pe kafan kyun hai
agar daulat khushi ka hai naya me'yaar
ameeron ki jabeen pe yah shikan kyun hai
ye maana hai mohabbat bhi hai ik neki
to is mein bewafaai ka chalan kyun hai
mujhe to woh mila hai jo muqaddar tha
mere apnon ko mujh se phir jalan kyun hai
तुम्हारे लफ़्ज़ों में इतनी थकन क्यों है
ग़ज़ल ज़िंदा है तो उस पे कफ़न क्यों है
अगर दौलत ख़ुशी का है नया मे'यार
अमीरों की जबीं पे यह शिकन क्यों है
ये माना है मोहब्बत भी है इक नेकी
तो इस में बेवफ़ाई का चलन क्यों है
मुझे तो वह मिला है जो मुक़द्दर था
मिरे अपनों को मुझ से फिर जलन क्यों है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Bewafai Shayari Shayari