us pe koii farq padta hi nahin gunaah se | उस पे कोई फ़र्क पड़ता ही नहीं गुनाह से

  - Meem Alif Shaz

us pe koii farq padta hi nahin gunaah se
khush hai kuchh ziyaada hi vo apni waah waah se

dekhne mein woh kharaab lagta hi nahin magar
neki karta rehta hai sharaati nigaah se

jhooth bolne ke liye usi se kehna hai tumhein
us ko koii dar nahin hai khaar waali raah se

उस पे कोई फ़र्क पड़ता ही नहीं गुनाह से
ख़ुश है कुछ ज़ियादा ही वो अपनी वाह वाह से

देखने में वह ख़राब लगता ही नहीं मगर
नेकी करता रहता है शरारती निगाह से

झूठ बोलने के लिए उसी से कहना है तुम्हें
उस को कोई डर नहीं है ख़ार वाली राह से

  - Meem Alif Shaz

Charity Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meem Alif Shaz

As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz

Similar Writers

our suggestion based on Meem Alif Shaz

Similar Moods

As you were reading Charity Shayari Shayari