ye aate jaate khwaab beghar lagte hain
nazdeek se aankhon ke manzar lagte hain
kaise lagaaye ham mohabbat ka shajar
is pe samar aate hi patthar lagte hain
is baar usne zehar ka pyaala diya
alfaaz ke khanjar to akshar lagte hain
aawaaz bhi deta to kis ko deta vo
jo saath doobe the shanawar lagte hain
kis shehar mein rahne lage ho tum bhi shaaz
is shehar ke dil saare banjar lagte hain
ये आते जाते ख़्वाब बेघर लगते हैं
नज़दीक से आँखों के मंज़र लगते हैं
कैसे लगाए हम मोहब्बत का शजर
इस पे समर आते ही पत्थर लगते हैं
इस बार उसने ज़हर का प्याला दिया
अल्फ़ाज़ के खंजर तो अक्सर लगते हैं
आवाज़ भी देता तो किस को देता वो
जो साथ डूबे थे शनावर लगते हैं
किस शहर में रहने लगे हो तुम भी शाज़
इस शहर के दिल सारे बंजर लगते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Dil Shayari Shayari