bhale sukoot mein toote ya koo-b-koo toote
kisi tarah mere andar ki haav-hoo toote
tumhaari khaak se taameer kya nahin hota
mere vujood ko paikar mile jo tu toote
main chahta hoon tujhe dekh kar ibadat ho
main chahta hoon tujhe dekh kar wuzoo toote
ye raat mushk-fishaan aur noor-afshaan ho
kabhi agar jo mera khwaab-e-rang-o-boo toote
kabhi to khwaab-e-pareshaan bhi mahv-e-ghaflat ho
kabhi to fikr-o-taraddud ki justajoo toote
dikhaai degi hamein roo-b-roo haqeeqat phir
agar ye vaham ki murt jo chaar-soo toote
भले सुकूत में टूटे या कू-ब-कू टूटे
किसी तरह मेरे अंदर की हाव-हू टूटे
तुम्हारी ख़ाक से तामीर क्या नहीं होता
मेरे वजूद को पैकर मिले जो तू टूटे
मैं चाहता हूँ तुझे देख कर इबादत हो
मैं चाहता हूँ तुझे देख कर वुज़ू टूटे
ये रात मुश्क-फ़िशाँ और नूर-अफ़्शाँ हो
कभी अगर जो मेरा ख़्वाब-ए-रंग-ओ-बू टूटे
कभी तो ख़्वाब-ए-परेशाँ भी महव-ए-ग़फ़लत हो
कभी तो फ़िक्र-ओ-तरद्दुद की जुस्तजू टूटे
दिखाई देगी हमें रू-ब-रू हक़ीक़त फिर
अगर ये वहम की मूर्त जो चार-सू टूटे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Uddin Khan
our suggestion based on Kaif Uddin Khan
As you were reading Justaju Shayari Shayari