khud apni aankh se manzar banaya
tabhi to khwaab ko behtar banaya
use sheeshaagari ka bhi hunar tha
to usne umr bhar patthar banaya
tumhaare baad ghar koi na kar le
so hamne dil ko bhi khandar banaya
safar aasaan ye lagne laga tab
faqat jab ek hi gatthar banaya
hamaara ek hi chehra raha hai
jo hai andar wahi baahar banaya
ख़ुद अपनी आँख से मंज़र बनाया
तभी तो ख़्वाब को बेहतर बनाया
उसे शीशागरी का भी हुनर था
तो उसने उम्र भर पत्थर बनाया
तुम्हारे बाद घर कोई न कर ले
सो हमने दिल को भी खंडर बनाया
सफ़र आसान ये लगने लगा तब
फ़क़त जब एक ही गट्ठर बनाया
हमारा एक ही चेहरा रहा है
जो है अंदर वही बाहर बनाया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khalid Azad
our suggestion based on Khalid Azad
As you were reading Aawargi Shayari Shayari