rafta rafta dil patthar ho jaata hai
aankhon mein sailaab nahi phir aata hai
jin ki saari umr kati ho raaste mein
vo manzil pe aate hi mar jaata hai
shaayad pehle peeri un pe aati hai
jinko bas aulaadon ka gham khaata hai
kuchh rishton mein doori rakhni padti hai
tab jaakar vo rishta bhi nibh paata hai
saare manzar mujhko feke lagte hain
aankhon ko bas tera chehra bhaata hai
रफ़्ता रफ़्ता दिल पत्थर हो जाता है
आंखों में सैलाब नही फिर आता है
जिन की सारी उम्र कटी हो रस्ते में
वो मंज़िल पे आते ही मर जाता है
शायद पहले पीरी उन पे आती है
जिनको बस औलादों का ग़म खाता है
कुछ रिश्तों में दूरी रखनी पड़ती है
तब जाकर वो रिश्ता भी निभ पाता है
सारे मंजर मुझको फीके लगते हैं
आंखों को बस तेरा चेहरा भाता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khalid Azad
our suggestion based on Khalid Azad
As you were reading Udas Shayari Shayari