shikwa-gilaa kisi se bhi kitna karenge ham | शिकवा-गिला किसी से भी, कितना करेंगे हम

  - Khalid Azad

shikwa-gilaa kisi se bhi kitna karenge ham
har baar zindagi ye tamasha karenge ham

hamko pata hai unko to milna nahin hai ab
phir bhi milan ka unse iraada karenge ham

is raat chaandni bhi bahut tez-tez hai
is raat unko yaad bhi ziyaada karenge ham

dil ko sukoon aaye to phir jaao chhodkar
kuchh is tarah ka abki taqaza karenge ham

tasveer uski aaj bhi kamre mein hai rakhi
ik din usi se oob ke jhagda karenge ham

sach bolne ki hamne bhi qeemat chukaai hai
ab jhooth bol khud ko to saccha karenge ham

jab aashiqi ke khel mein sab haar jaaye to
phir lautne ka khud hi iraada karenge ham

शिकवा-गिला किसी से भी, कितना करेंगे हम
हर बार ज़िंदगी ये, तमाशा करेंगे हम

हमको पता है उनको तो मिलना नहीं है अब
फिर भी मिलन का उनसे इरादा करेंगे हम

इस रात चाँदनी भी बहुत तेज़-तेज़ है
इस रात उनको याद भी ज़्यादा करेंगे हम

दिल को सुकून आए तो फिर जाओ छोड़कर
कुछ इस तरह का अबकी तक़ाज़ा करेंगे हम

तस्वीर उसकी आज भी कमरे में है रखी
इक दिन उसी से ऊब के झगड़ा करेंगे हम

सच बोलने की हमने भी क़ीमत चुकाई है
अब झूट बोल ख़ुद को तो सच्चा करेंगे हम

जब आशिक़ी के खेल में सब हार जाए, तो
फिर लौटने का ख़ुद ही इरादा करेंगे हम

  - Khalid Azad

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Khalid Azad

As you were reading Shayari by Khalid Azad

Similar Writers

our suggestion based on Khalid Azad

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari